Monday, September 25, 2006

thoughts...

ek din ek ladka samander ke kinare khada tha... lehre aati aur apne saath kabhi kabhi koi machli bhi le aati. woh use uthata aur samander main wapas phek deta. usse aisa karte ek dusre ladke ne dekha aur hasne laga. bola samunder itna vishaal hain. itni saari machliya har pal bahar aati hain aur mar jati hain. uska aisa karne se kya farak padne wala hain. usne jawab diya ki uske aisa karne se bhale hi is stithi ko koi pharak nahi pada par us machli ke jivan par jisko usne bachaya bahot farak pada. yeh farak uske aisa karne ke liye kafi hain...
[dont know the source]

Wednesday, September 20, 2006

anineshwita

07-03-06

ek meri zindgi hain aur ek main hoon,
khwabo main soya, khwabo main khoya;
sacch ki aaradhna ko khwabo main dohrata,
pyaar ki lalak aur tripti ki pehchan, khwabon main pata.

us andekhe wyaktitwa ki aanjan talaash,
woh doobna, niche aur niche;
sacch aanjan ke liye ya kastoori sa ?
sawaal uthata aur jawabo ke liye doobta jata.

na jane kyun ek kashish si hoti jab jagta,
kyun phir khwabon ke aahwan ki chah hoti;
kyun mantramugdha sa jivan hi chahta,
kyun sacchayi ki talash main, sacchayi se door jata.

main aur mere khwab, ek bandhan main piroye,
ek duje main khoye... jivan se door ek 'anineshwita' ki talaash main.