07-03-06
ek meri zindgi hain aur ek main hoon,
khwabo main soya, khwabo main khoya;
sacch ki aaradhna ko khwabo main dohrata,
pyaar ki lalak aur tripti ki pehchan, khwabon main pata.
us andekhe wyaktitwa ki aanjan talaash,
woh doobna, niche aur niche;
sacch aanjan ke liye ya kastoori sa ?
sawaal uthata aur jawabo ke liye doobta jata.
na jane kyun ek kashish si hoti jab jagta,
kyun phir khwabon ke aahwan ki chah hoti;
kyun mantramugdha sa jivan hi chahta,
kyun sacchayi ki talash main, sacchayi se door jata.
main aur mere khwab, ek bandhan main piroye,
ek duje main khoye... jivan se door ek 'anineshwita' ki talaash main.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment