do bund aakhon se tapki aur mitti main mil gayi
kisine nahi dekha, hum bas umeed karte re gaye
pata nahi ye mann ka deepak bujhta kyun nahi.
yeh mann mera mera nahi, mujhe bathkata hain
jane din raat kya kya sapne dikhata hain
jo isse sabse pyara hain uske khilaf bhi le jata hain
maine jab mohabbat ki thi to khudko piche chod diya tha
phir kisi ne dil ko chuwa to uska ho gaya tha
koi gunah to nahi kiya, par dard dikhta hain mujhe meri aakhon main.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
sahi yaar ankit ...
:)
simple and touching
:)
Post a Comment